Saturday, August 28, 2010

REVOLUTION!

Dear Pakistan,

I know how you are right now because I see it everyday. I know you are suffering from world’s most terrible illnesses and some of them may even take years to cure. But believe me, one day everything will be all right. One day, all these illnesses will be cured. Just hang in there buddy. Just hang in there a little longer till the youth comes in power. Hang in there long enough till WE BRING A BLOODY REVOLUTION TO CURE YOU! I will wash your streets with the blood of the corrupt enemies. And then wipe them clean with the heads of those who ruined you. Only then will you be cured! Only then will you prosper as was dreamt by our elders. There is no other way. There is no other cure. Only blood and blood only.

A revolution is inevitable. The stage is set, the props are up and the right mood prevails. All that is missing are actors and a director.

PAKISTAN WAS MADE WITH BLOOD AND WILL BE '”REMADE” WITH BLOOD!

With Love,
Syed Shehroz Hussain (Ozzy).

Saturday, August 14, 2010

main aaj ka pakistani huun

Mera zamiir… aksar chup hojata hai aisa lagta hai k meri kuch mujh hi se doori hai. Ek khalah, viraan dimaagh aur viraan soch, ek khalbali bhi hai mere saath magar mera dimaagh itna maauf hojata hai k mai ye malum nai karsakta k kis chz ki khalbali hai? kis chz ki talaash hai mujhe? Kia chiz mujhe apni taraf itni zor se kheench rai hai? k jis ki taraf khincha b chala jata hu aur main us ki jaanib jana b nai chahta. Q apnai hi sawaalo ko daba k betha hu? Shayad isliye k me ye soch chukka hu k jawab hai hi nahi, ya shayad is liye k mujhe khof hai k jawab itna sakht or karakht hoga k mai saamna hi naa kar paaun ga, ya shayad us sawal k baad mujhe khud se chin janai ka darr hai…

Mujhe jo laga ye sub isliye ho raha hai k koi hum se chup k se barai dard se sawaal puchta hai, magar wo puchta maire lashaoor se hai jis ka asar bht gehra hota hai maire shaoor par. Wo “koi” meri matti hai, mera mulk hai. Jis ki mai sirf tab tareef karta hu jab mujhai us se kuch faidaa hota hai. Jab meri baari aati hai faida pohnchaanai ki to yaa to mai apne hi farz se haar manjata hu, ya apne hi mulk ko bura kehne lag jata hu. Jo gehra asar mere shaoor pe par chuka hai wo meri khud gharzi hai. Jis ko mera baahar to maannai se inkar karta hai magar mera andar shayad abhi b koi dil wala hai. Jise lagta hai shayad me abhi b andar ki koi baat sun lunga. Wo sirf baar baar apni arzi daalta hai mere samnai. Me kuch dair k lie us ki baat sunta hun sochta hu both kuch karnai ka, Us k lie jis ne hamesha mere lie kia hai, kabhi mana nai kia, kabhi mujhe ruswa nai kia. Bohat tarekai sochta hu us k lie kuch karnai k bohat saleeqai sochta hu us ko nibhanai k. Magar me aisa tab hi karta hu jab mjhe koi bara dachkaa lagta hai jab koi bari aafat mere bilkul paas se guzar k ye batati hui chali jati hai k shayad agli baar me paas se naa guzar paau, Shayad agli baar me tujh pe hi aa k ruk jaun. Yaa yun kehlo k mujhe choti moti awaaz sunai nai daiti har baar mujhe koi dhamaka hi jagata hai meri neend se. Ya ye samajhlo k mai zameer baich k soya hua rehta hun. Mjhe is baat se koi farq hi nai parta k ek pal pehle jo chiz meri thei, mujh se boht kareeb thi wo ab mere paas nai hai.. kabhi wo chiz mera koi jannai wala, koi aziz hota hai, kabhi wo me khud hota hun, kabhi mera waqaar to kabhi meri anaa, meri izzat hoti hai, kabhi mere aas paas kai logo ki hassi hoti hai aur aksar mere apne aansu hotai hai jo ab meri aankhon mai nai hain, q k ab mai itna andha hogaya hun k kisi ka dukh dard na nazar aata hai, na hi us ka ehsaas hota hai. Or phir me jab jaagta hu, kuch karnai ki thaanta hu or sochta hu k aarai aanai wali har chiz ka muqabla karu gaa saamna karuun ga. Har us darr ko, har us sawal ko apnai andar se khatam kardunga jis k jawab k talash mai mene ek insaan ki zindagi guzaarna chordi hai. Jis ki wajah se apne hi aap me jaari jang sahai jaa raha hu. Jis ki waja se mai apne aap se hi larta hu or khafa hojata hu. Magar us waqt tak mai wo saarai tareekai or saleeqai jo sochai thai bhul chukka hota hun. Wo taqat khatm kar chuka hota hu jo maine apne lie, apne mulk k lie, kuch karnai k liai jori thi. Wo sub me bhool kar kuch karnai se pehle hi apne aap mai mast ho kar, ANDHON ki tarha ANDHON k hi peechai chal parta hu…..

Shor macha (Entity Paradigm)




to aaj is mor pe aa kharai hue,
na koi rasta na manzil aae nazar tumhain,
akal hairan hai or soch pareshan hai,
khof hai dil mai or gumsum zaban hai,
to shor macha or qadam barhaa,
apna sar fakhar se uthaa,
buland kar apne wo khayal,
puch le wo sub sawal,
PAKISTAN ZINDABAD,
cheir de wo khof-o-hiraas k parde,
apni misaal khud bana,
chor dai mayoosi k wo rastai,
apna bojh khud utha,
dikhaa, dikha k tu kisi se kam nahi,
teri soch teri himmat tere dil mai koi gham nahi,
aaj hai andhair to kal ujaal,
SAYA-E-KHUDAYAE ZULJALAL

Friday, August 13, 2010

Hum ne ye sub kia kya?

wo jo dar badar, khak basar hue
wo jo lut gae, be ghar hue
wo to chahtai thai k ho hamara ghar,
ho hamari chatt, ho hamara dar
wo to chahtai thai k azaad hon hum
koi darr na ho, bebaak hon hum
wo to chahte thai k jii lain hum
ye jaam khushi ka pii lain hum,
wo khushi jo un k paas na thei..
wo azaadi jo un k haath na thei..
magar hum ne ye sab kia kya?
wo jo bata gae thukra dia, jo bana gae giraa dia
sarr un ka sharam se jhuka dia, hum ne ye sub kia kya?
wo is josh mai mar gae k azaad hogi kal ki qaum
zul pe zulm sahai gae, lahu ka ek ek katra baha dia
aaj hum ne sub bhula diaa,hum ne ye sub kia kya?
wo is khushi mai mar gae, k un k bachai ghar gae
kisi ka bhai chal basa, kisi nai bacha luta diaa
aur hum ne kia silaa diaa? hum ne ye sub kia kya?
wo kal ghairon se larr chukai, hum aaj khud se lartai hain
wo kal ghairo k ghulaam thai, hum aaj apno k ghulaam hain
socho kia kuch naya kya? hum ne ye sub kia kya?


ik aur jashn-e-aazadi . .

kano main perd rahi hai ahh-e-arz-e-wattan,
kis zuban sai kahoon main aazaadi mubarak ho? ?
Lahu mein dub rahi hai jafa-e-wattan,
kis zuban sai kahoon main aazaadi mubarak ho? ?

hota hai kuch gumaan sa maidaan-e-hashar ka,
har ik musalman ko bus apni hi perdi hai. . .
Mit jaye ga mera dais ager yahi haalat bani rahi,
atraaf ki har kom tamashay pe khari hai . .
phir surkh surkh hai merai daryaon ka pani,
lagta hai kahein khoon ki phir barsaat perdi hai. . .
in zalimon ko jarr sai mita de ae merai Rab,
sub haath uthao k duaon ki ghari hai. . .
aj phir har aankh main behtay huay aansuon ki lari hai,
"bus kuch aur sabar ker maire ham wattan k ab inqalab ki ghari hai. ."

safar kuch khaas muskill nahe bus ik rehbar chahihye,
manzil kuch door nahe bas ik nazar chahiye,
ik ehsaas chahiye jo kabhi pehlai howa tha,
ik aan chahiye jis sai pehlai ye dais saja tha. . .

An effort of,
Junaid Zaib

Pakistan hun main...

meri zaban say mairi dastan koi sunai ga kahein?
main jo kehta hun koi piyar sai sunai ga kahein?
main ro nahe sakta, baron ki aas hai mujh sai. . .
meri aawaz main jo dard hai koi parkhai ga kahein?
kitne hi loag lutt gaye marr gaye maloom nahe. . .
shayad tumhe lahu ki auqaat abhi maloom nahe. .
koi puchai ga ager pichlon k marne ka sabab,
ye sawal tumhe chorai ga kahein ka bhi nahe. . .
main khud apnai aap ko jawab kiya dun??
maire sunsaan aankhon main tou koi aansu bhi nahei. . .
buhat sai chehrai dekhta hun main tanha tanha,
jin ki tanhai ka sabab kisi ko pata he nahe. .
aazad howa tha main andheri shaam k baad,
subha ko dekhta hun yahan insaan ka tou qanoon hi nahe . . .
meri sirf itni si faryaad hai, sawal hai ik,
mera koi chahnai wala mujh main bacha hai bhi kahein? ?

an effort of:
BADAR RAO

Saturday, August 7, 2010

A Short Reminder.

Independence Day is inching closer…Green is all around. I thought I’d remind you all about the badges. Oh yeah, those cool badges. Let’s start wearing them from now because wearing them and seeing others pull them off so nicely induces patriotism in you! And no school or college has a policy that condemns them...so there. Spread Green. 

Buy it for the maids and poor around you, too…Let everyone be engulfed in patriotism. Pakistan Zindabad! (: