Friday, August 13, 2010

Pakistan hun main...

meri zaban say mairi dastan koi sunai ga kahein?
main jo kehta hun koi piyar sai sunai ga kahein?
main ro nahe sakta, baron ki aas hai mujh sai. . .
meri aawaz main jo dard hai koi parkhai ga kahein?
kitne hi loag lutt gaye marr gaye maloom nahe. . .
shayad tumhe lahu ki auqaat abhi maloom nahe. .
koi puchai ga ager pichlon k marne ka sabab,
ye sawal tumhe chorai ga kahein ka bhi nahe. . .
main khud apnai aap ko jawab kiya dun??
maire sunsaan aankhon main tou koi aansu bhi nahei. . .
buhat sai chehrai dekhta hun main tanha tanha,
jin ki tanhai ka sabab kisi ko pata he nahe. .
aazad howa tha main andheri shaam k baad,
subha ko dekhta hun yahan insaan ka tou qanoon hi nahe . . .
meri sirf itni si faryaad hai, sawal hai ik,
mera koi chahnai wala mujh main bacha hai bhi kahein? ?

an effort of:
BADAR RAO

No comments:

Post a Comment