Friday, August 13, 2010

Hum ne ye sub kia kya?

wo jo dar badar, khak basar hue
wo jo lut gae, be ghar hue
wo to chahtai thai k ho hamara ghar,
ho hamari chatt, ho hamara dar
wo to chahtai thai k azaad hon hum
koi darr na ho, bebaak hon hum
wo to chahte thai k jii lain hum
ye jaam khushi ka pii lain hum,
wo khushi jo un k paas na thei..
wo azaadi jo un k haath na thei..
magar hum ne ye sab kia kya?
wo jo bata gae thukra dia, jo bana gae giraa dia
sarr un ka sharam se jhuka dia, hum ne ye sub kia kya?
wo is josh mai mar gae k azaad hogi kal ki qaum
zul pe zulm sahai gae, lahu ka ek ek katra baha dia
aaj hum ne sub bhula diaa,hum ne ye sub kia kya?
wo is khushi mai mar gae, k un k bachai ghar gae
kisi ka bhai chal basa, kisi nai bacha luta diaa
aur hum ne kia silaa diaa? hum ne ye sub kia kya?
wo kal ghairon se larr chukai, hum aaj khud se lartai hain
wo kal ghairo k ghulaam thai, hum aaj apno k ghulaam hain
socho kia kuch naya kya? hum ne ye sub kia kya?


1 comment:

  1. amazing... hm ne ye kya kia...
    can i share this poem over my blog ? madiha ghous

    ReplyDelete